Thursday, April 23, 2015

Aate Jaate Khubsurat Awara Sadkon Pe Kabhi Kabhie Ittefaq Se

Aate Jaate Khubsurat Awara Sadkon Pe
Kabhi Kabhie Ittefaq Se
Kitne Anjaan Log Mil Jaatein Hain
Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain
Kuch Yaad Reh Jaate Hain

Aawaz Ki Duniya Ke Doston
Kal Raat Kisi Jagah Mujhko

Kis Kadar Yeh Haseen Khayal Mila Hain
Raah Mein Ek Reshmi Rumal Mila Hain
Jo Giraya Tha Kisine Jaankar
Jiska Ho Le Jaaye Wo Pehchankar
Warna Main Rakh Loonga Ussko Apna Jaankar
Kisi Husn Wale Ki Nishani Maankar
Nishaani Maankar

Hanste Gaate Logon Ki Baaton Hi Baaton Mein
Kabhi Kabhie Ek Mazaaq Se
Kitne Jawaan Kisse Ban Jaate Hain
Un Kisso Mein Chund Bhool Jaate Hain
Chund Yaad Reh Jaate Hain
Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain
Kuch Yaad Reh Jaate Hain

Taqdeer Mujhpe Meherbaan Hai
Jis Shaukh Ki Yeh Daastaan Hai

Usne Bhi Shaayad Yeh Paighaam Suna Ho
Mere Geeton Mein Apna Naam Suna Ho
Door Baithi Yeh Raaz Wo Jaan Le
Meri Aawaz Ko Pehchaan Le
Kaash Phir Kal Raat Jaisi Barsaat Ho
Aur Meri Uski Kahin Mulaqaat Ho
Mulaaqat Ho

Lambi Lambi Raaton Mein Neend Nahin Jab Aati
Kabhi Kabhie Iss Firaaq Se
Kitne Haseen Khwab Ban Jaate Hain
Unn Mein Se Kuch Khwab Bhool Jaate Hain
Kuch Yaad Reh Jaate Hain
Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain
Kuch Yaad Reh Jaate Hain

Aate Jaate Khubsurat Awara Sadkon Pe
Kabhi Kabhie Ittefaq Se Kitne Anjaan Log Mil Jaatein Hain
Unn Mein Se Kuch Log Bhool Jaatein Hain
Kuch Yaad Reh Jaate Hain

No comments:

Post a Comment