Thursday, April 23, 2015

Aate Hain Chale Jaate Hain Jaane Wale Kabhi Kabhi

Aate Hain Chale Jaate Hain
Jaane Wale Kabhi Kabhi
Yahan Apne Pyar Se
Logon Ke Dilon Mein
Yaadgaar Ban Jaate Hain

Rona Na Udaas Hona Na
Yeh Aansoo Khona Na
Yahan Na Daaman Bhigo Na Kabhi
Paana Hai Kabhi Kuch Paana Hai
Kabhi Kuch Khona Hai
Yahn Jo Hona Hai Hoga Wohi

Yehi Zindagi Hai
Yahan Jiye Wohi Log Jo
Saare Gham Bhulake
Aansooyon Mein Muskurate Hain

Chalna Hain Humein To Chalna Hain
Akele Chalna Hain
Koi Bhi Ho Ya Na Ho Humsfar
Raahon Mein Chale Ya Hum Ruke
Ruke Ya Hum Chale
Kahin Bhi Rukta Nahin Yeh Safar

Aana Jaana Lagey Rahe
Jeevan Ki Raahon Mein
Raahein Wohi Rehte Hain
Raahi Badal Jaate Hain

Raaton Ke Andhere Raaton Ke
Ghanerein Chhaye Mein
Chhupa To Hoga Savera Kahin
Aayega Savera Aayega
Ujale Layega
Andhera Hoga Hamesha Nahin

Maane Yahan Haar Na Jo
Kabhi Kisi Haal Mein
Wohi Yahan Phool
Kabhi Kaanton Mein Khilate Hain

Aate Hain Chale Jaate Hain
Jaane Wale Kabhi Kabhi
Yahan Apne Pyar Se
Logon Ke Dilon Mein
Yaadgaar Ban Jaate Hain

No comments:

Post a Comment