Monday, April 27, 2015

Aa Ki Merii Jaan Mein Qaraar Nahin Hai

Aa Ki Merii Jaan Mein Qaraar Nahin Hai
Taaqat-e-bedaad-e-intazaar Nahin Hai

Dete Han Jannat Hayaat-e-dahar Ke Badale
Nashshaa Baa_andaazaa-e-khumaar Nahin Hai

Giriyaa Nikaale Hai Terii Bazm Se Mujh Ko
Haaye! Ki Rone Pe Ikhtiyaar Nahin Hai

Ham Se Abas Hai Gumaan-e-ranjish-e-khaatir
Khaak Me.n Ushshaq Kii Gubaar Nahin Hai

Dil Se Uthaa Lutf-e-jalvaa Haaye Ma_anii
Gair-e-gul Aa_iinaa-e-bahaar Nahin Hai

Qatl Kaa Mere Kiyaa Hai Ahad To Baare
Vaaye! Agar Ahad Ustavaar Nahin Hai

Tuu Ne Qasam Mai_kashii Kii Khaa_ii Hai 'ghalib'
Terii Qasam Ka Kuchh Aitabaar Nahin Hai

[qaraar=rest/repose, Bedaad=injustice]

[hayaat = Life; Dahar = World]
[baa_andaazaa = According To; Khumaar = Intoxication]

[giriyaa = Weeping; Ikhtiyaar = Control]

[abas=indifferent; Gumaan=suspicion; Ranjish=unpleasantness;]
[khaak=ashes/dust; Ushshaq=lovers; Gubaar=clouds Of Dust]

[ma_anii = Meanings, Gair-e-gul = Other Than Blossoms ]

[ahad = Promise, Baare = At Last, Ustavaar = Firm/determined ]

[mai_kashii = Boozing; Aitabaar = Trust/faith]

No comments:

Post a Comment