Tuesday, April 28, 2015

Tuu Dost Kisi Kaa Bhi Sitam_gar Na Hu_aa Thaa

Tuu Dost Kisi Kaa Bhi Sitam_gar Na Hu_aa Thaa
Auron Pe Hai Vo Zulm Ki Mujh Par Na Hu_aa Thaa

Chho.daa Mah-e-nakhshab Ki Tarah Dast-e-qazaa Ne
Khurshid Hanoz Us Ke Baraabar Na Hu_aa Thaa

Taufiq Ba Andaaz-e-himmat Hai Azal Se
Aankhon Men Hai Vo Qataraa Ki Gauhar Na Hu_aa Thaa

Jab Tak Ki Na Dekhaa Thaa Qad-e-yaar Kaa Aalam
Main Motaqid-e-fitanaa-e-mahashar Na Hu_aa Thaa

Main Saadaa Dil Aazurdagi-e-yaar Se Khush Huun
Yaani Sabaq-e-shauq Mukarrar Na Hu_aa Thaa

Dariyaa-e-ma_aasi Tunuk Abhi Se Hu_aa Khushk
Meraa Sar-e-daaman Bhi Abhi Tar Na Hu_aa Thaa

Jaari Thi Asad Daag-e-jigar Se Mere Tahasil
Aatash_qadaa Jaagir-e-samandar Na Hu_aa Thaa

No comments:

Post a Comment