Tuesday, April 28, 2015

phir is andaaz se bahaar aai

phir is andaaz se bahaar aai
ke huye mehar-o-maah tamaashaai

dekho ai sakinaan-e-khittaa-e-Khaak
is ko kahate hain aalam-aaraai

ke zamin ho gai hai sar taa sar
ruukash-e-satahe charKhe minaai

sabze ko jab kahin jagah na mili
ban gayaa ruu-e-aab par kaai

sabz-o-gul ke dekhane ke liye
chashm-e-nargis ko di hai binaai

hai havaa men sharaab ki taasir
badaanoshi hai baad paimaai

kyuun na duniyaa ko ho Khushi "Ghalib"
shaah-e-dindaar ne shifaa pai

No comments:

Post a Comment