Wednesday, April 22, 2015

Khumari Chadh Ke Utar Gayi

Khumari Chadh Ke Utar Gayi
Zindagi Yun Hi Gujar Gayi
Kabhi Sote Sote Kabhi Jaagte
Khwaabon Ke Pichhe Yu Hi Bhaagte
Apni Toh Saari Umar Gayi

Rangeen Bahaaron Ki Khwaahish Rahi
Haath Magar Kutch Aaya Nahi
Kehne Ko Apne The Saathi Kai
Saath Kisine Nibhaya Nahi
Koi Bhi Hamsafar Nahi
Kho Gayi Har Dagar Kahi
Kabhi Sote Sote Kabhi Jaagte
Khwaabon Ke Pichhe Yu Hi Bhaagte
Apni Toh Saari Umar Gayi

Logon Ko Aksar Dekha Hai
Ghar Ke Liye Rote Hue
Ham Toh Magar Beghar Hi Rahe
Gharwalon Ke Hote Hue
Aaya Apna Nazar Nahi
Apni Jahaa Tak Nazar Gayi
Kabhi Sote Sote Kabhi Jaagte
Khwaabon Ke Pichhe Yu Hi Bhaagte
Apni Toh Saari Umar Gayi

Pehle Toh Ham Sun Lete The
Shor Mein Bhi Shehnaaiya
Ab Toh Hamko Lagti Hai
Bheed Mein Bhi Tanhaaiya
Jeene Ki Hasrat Kidhar Gayi
Dil Ki Kali Bikhar Gayi
Kabhi Sote Sote Kabhi Jaagte
Khwaabon Ke Pichhe Yu Hi Bhaagte
Apni Toh Saari Umar Gayi

No comments:

Post a Comment