Hazaaron Khwahishen Aisi Ke Har Khwahish Pe Dam Nikale
Bahut Nikaley Mere Armaa, Lekin Phir Bhi Kam Nikale
Nikalna Khuld Se Aadam Ka Sunte Aaye Hain Lekin
Bahut Be-aabru Hokar Tere Kuuche Se Hum Nikale
Mohabbat Mein Nahin Hai Farq Jeenay Aur Marnay Ka
Usi Ko Dekh Kar Jeetay Hain, Jis Kaafir Pe Dam Nikale

Bahut Niklay Mere Armaan, Lekin Phir Bhi Kam Nikale
Khuda Ke Vaaste Parda Na Kaabe Se Uthaa Zaalim
Kaheen Aisa Na Ho Yaan Bhi Wahi Kaafir Sanam Nikale
Kahaan Maikhaane Ka Darwaaza Ghalib Aur Kahaan Vaaiz
Par Itna Jaantay Hain Kal Voh Jaata Thaa Ke Ham Nikale

No comments:
Post a Comment