Thursday, April 23, 2015

Ek Hasina Thi Ek DeewanaTha

Ek Hasina Thi, Ek DeewanaTha
Kyaa Umar, Kyaa Samaa, Kyaa Zamaanaa Tha

Ek Din Woh Mile, Roz Milane Lage
Phir Mohabbat Hui, Bas Qayaamat Hui

Sun Ke Ye Daasataan, Kho Gaye Tum Kahaan,
Log Hairaan Hain, Kyon Ki Anjaan Hain

Ishq Ki Woh Gali, Baat Jiski Chali
Us Galii Mein, Meraa Aanaa Jaanaa Tha

Us Hasiin Ne Kahaa, Suno Jaan-E-Wafaa
Yeh Falaq Yeh Zameen, Tere Bin Kuchh Nahin
Tujhpe Marati Hoon Main, Pyaar Karati Hoon Main
Tere Bin Zindagi Kuch Nahi Kuch Nahin
Aashiqi Mein Unka Alam Kya Suhana Tha

Bewafaa Yaar Ne, Apane Mehbooob Se
Aisaa Dhokhaa Kiyaa Aisaa Dhokhaa Kiyaa
Aisaa Dhokhaa Kiyaa
Zehar Usako Diyaa Zehar Usako Diyaa
Zehar Usako Diyaa

Mar Gayaa, Woh Javaan, Ab Suno Daasataan
Janam Le Kar Kahin, Phir Woh Pahunchaa Wahin
Shakl Anjaan Thi, Aqal Hairaan Thi
Saamanaa Jab Hua, Phir Wahi Sab Hua
Uspe Yeh Karz Tha, Karz Ko Farz Apna Chukana Tha

No comments:

Post a Comment