Dil Ki Baatein Bata Deti Hain Aankhein
Dharkano Ko Jaga Deti Hain Aankhein,
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Chehraun Ka Kabhi
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hain Aankhein,
Woh Hum Se Baat Nahi Karte, To Na Karein
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhein,
Gham Sada Rehta Nahi, Aadmi Ke Saath
Ashk Bana Kar Chalka Deti Hain Aankhein,
Aata Hai Jab Dor-E-Jawani, Tab Ae-Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain Aankhein,
Mana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste
Magar Kabhi Kabaar Neend Bhi Uraa Deti Hain Aankhein,
Shukar Hai Rab Ne Ata Ki, Aankhon Ki Neamat
Humaare Dard-O-Gham Saare Dil Ke, Chupa Deti Hain Aankhein....

No comments:
Post a Comment