Showing posts with label Kishore-Kumar. Show all posts
Showing posts with label Kishore-Kumar. Show all posts

Thursday, April 23, 2015

Meri Zindagi Ne Mujhpe Ehsaan Kya Kiya Hai

Meri Zindagi Ne Mujhpe Ehsaan Kya Kiya Hai
Jeene De Na Marne De Mujhe Aisa Gham Diya Hai

Jo Mila Hogaya Kya Mere Paas Hai
Dard Hi Dard Hai Pyaas Hi Pyaas Hai
Mere Dil Hi Jaane Maine Kya Kya Zehar Piya Hai

Jalke Ham Phir Bhuje Bhuj Ke Ham Phir Jale
Zindagi Khub Hai Yeh Tere Faisale
Mar Mar Ke Umra Saari Yahan Kaun Jeeya Hai

Pyar Mein Ki Wafa To Mili Kya Saza
Dosti Yaar Ki De Gaye Kya Daga
Kya Bol De Kisi Se Hoton Ko Seeliyaan Hai

Meri Zindagi Ne Mujhpe Ehsaan Kya Kiya Hai
Jeene De Na Marne De Mujhe Aisa Gham Diya Hai

Mere Sapnon Ki Rani Kab Aayegi Tu

Mere Sapnon Ki Rani Kab Aayegi Tu
Aayi Rut Mastaani Kab Aayegi Tu
Beeti Jaaye Zindagaani Kab Aayegi Tu
Chali Aa, Haan Tu Chali Aa

Pyaar Ki Galiyaan, Baagon Ki Kaliyaan
Sab Rang Raliyaan Poochh Rahi Hain
Geet Panghat Pe Kis Din Gaayegi Tu

Phool Si Khilke, Paas Aa Dil Ke
Door Se Milke Chain Na Aaye
Phool Si Khilke, Paas Aa Dil Ke
Door Se Milke Chain Na Aaye
Aur Kab Tak Mujhe Tadpaayegi Tu

Kya Hai Bharosa Aashiq Dil Ka
Aur Kisi Pe Yeh Aa Jaaye
Kya Hai Bharosa Aashiq Dil Ka
Aur Kisi Pe Yeh Aa Jaaye
Aa Gaya To Bahut Pachtaayegi Tu

Mere Sapnon Ki Rani Kab Aayegi Tu
Aayi Rut Mastaani Kab Aayegi Tu
Beeti Jaaye Zindagaani Kab Aayegi Tu
Chali Aa, Haan Tu Chali Aa

Mere Saamne Waali Khidki Mein

Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukra Rehta Hai
Afsos Ye Hai Ke Wo Humse
Kuch Ukhra Ukhra Rehta Hai

Jis Roz Se Dekha Hai Usko
Hum Shamaa Jalaana Bhool Gaye
Dil Thaam Ke Aise Baithe Hain
Kaheen Aana Jaana Bhool Gaye
Ab Aath Pehar In Aankhon Mein
Wo Chanchal Mukhra Rehta Hai

Barsaat Bhi Aakar Chali Gayi
Baadal Bhi Garaj Kar Baras Gaye
Par Uski Aik Jhalak Ko Hum
Aye Husn Ke Maalik Taras Gaye
Kab Pyaas Bujhegi Aankhon Ki
Din Raat Ye Dukhra Rehta Hai

Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukra Rehta Hai
Afsos Ye Hai Ke Wo Humse
Kuchh Ukhra Ukhra Rehta Hai

Mere Saamne Waali Khidki Mein
Ek Chaand Ka Tukda Rehta Hai..

Mere Mehboob Qayamat Hogi

Mere Mehboob Qayamat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi
Meri Nazrein To Gila Karti Hain
Tere Dil Ko Bhi Sanam Tujhse Shikayat Hogi

Teri Gali Mein Aata Sanam
Nagma Wafa Ka Gaata Sanam
Tujhse Suna Na Jaata Sanam
Phir Aaj Idhar Aaya Hoon Magar
Yeh Kehne Mein Deewana
Khatm Bas Aaj Yeh Dehshat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi

Meri Tarah Tu Aahen Bhare
Tu Bhi Kisise Pyar Kare
Aur Rahe Voh Tujhse Parey
Toone O Sanam Dhaye Hain Sitam To Yeh Tu Bhool Na Jaana
Ki Na Tujhse Bhi Inayat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi

Mere Sanam Ke Dar Se Agar
Baad-E-Saba Ho Tera Guzar
Kehna Sitamgar Kuchh Hai Khabar
Tera Naam Liya Jab Tak Bhi Jiya Ae Shama Tera Parwana
Jisse ab tak Tujhe Nafrat Hogi
Aaj Rusva Teri Galiyon Mein Mohabbat Hogi

Mere Dil Mein Aaj Kyaa Hai Tu Kahe To Main Bataa Doon

Mere Dil Mein Aaj Kyaa Hai
Tu Kahe To Main Bataa Doon
Teri Zulf Phir Sawaaroon
Teri Maang Phir Sajaa Doon

Mujhe Devtaa Banaakar
Teri Chaahaton Ne Poojaa
Meraa Pyaar Kah Rahaa Hai,
Main Tujhe Khudaa Banaa Doon

Koyi Dhoondhne Bhi Aaye
To Hamen Naa Dhoondh Paaye
Tu Mujhe Kahin Chhupaa De,
Main Tujhe Kahin Chhupaa Doon

Mere Baazuon Me Aakar
Teraa Dard Chain Paaye
Tere Gesuon Me Chhupkar,
Main Jahaan Ke Gham Bhulaa Doon
Teri Zulf Phir Sawaaroon
Teri Maang Phir Sajaa Doon

Mere Dil Mein Aaj Kyaa Hai
Tu Kahe To Main Bataa Doo

Mera Jeevan Kora Kaagaz Kora Hi Reh Gaya

Mera Jeevan Kora Kaagaz Kora Hi Reh Gaya
Jo Likha Tha Aansoo On Ke Sang Beh Gaya
Mera Jeevan Kora Kaagaz Kora Hi Reh Gaya

Ek Hawa Ka Jhoonka Aaya
Tuta Dali Se Phool
Na Pavan Ki Na Chaman Ki
Kiski Hai Ye Bhool
Kho Gayi Kho Gayi
Khushboo Hawa Mein Kuch Na Reh Gaya

Udte Panchi Ka Thikana
Mera Na Koijahan
Na Dagar Hai Na Khabar Hai
Jana Hai Mujhko Kahan
Ban Ke Sapna
Humsafar Ka Saath Reh Gaya
Mera Jeevan Kora Kaagaz Kora Hi Reh Gaya

Manzile Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah

Manziloon Pe Aa Ke Lootate Hain Dilon Ke kaaravaan
Kashtiya Saahil Pe Aksar Doobati Hain Pyaar Ki

Manzile Apni Jagah Hain Raaste Apni Jagah
Jab Kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare
Yoon To Hai Humdard Bhi Aur Humsafar Bhi Hai Meraa
Badh Ke Koyi Haath Naa De Dil Bhalaa Fir Kyaa Kare

Doobne Waale Ko Tinke Kaa Sahaaraa Hi Bahot
Dil Bahal Jaaye Fakat Itnaa Ishaaraa Hi Bahot
Itne Par Bhi Aasmaan Waalaa Giraa De Bijaliyaan
Koi Batlaa De Zaraa Yeh Doobtaa phir Kyaa Kare

Pyaar Karnaa Jurm Hai To Jurm Hum Se Ho Gayaa
Qaabil-E-Maafi Huaa Karty Nahin Aise Gunaah
Sangdil Hai Ye Jahaa'n Aur Sangdil Meraa Sanam
Kyaa Kare Josh-E-Junoo'n Aur Hauslaa phir Kyaa Kare

Manzile'n Apni Jagah Hen Raasty Apni Jagah
Jab kadam Hi Saath Naa De To Musaafir Kyaa Kare

Mana Janab Ne Pukaara Nahin Kya Mera Saath Bhi Gawara Nahi?

Mana Janab Ne Pukaara Nahin Kya Mera Saath Bhi Gawara Nahi?
Muft Main Banke Chal Diye Tan Ke Wallah Jawab Tumhara Nahin

Yaaron Ka Chalan Hao Ghulami Dete Hain Haseeno Ko Salaami
Gussa Na Kijiye Jaane Bhi Dijiye Bandagi To Bandagi To Lijiye Sahaab

Toota Phoota Dil Yeh Hamara Jaisa Bhi Hai Ab Hai Tumhara
Idhar Dekhiye Nazar Phenkiye Dil Lagi Na Dil Lagi Na Kijiye Sahab

Masha Allah Kehna To Maana Ban Gaya Bigda Zamana
Tumko Hasa Diya Pyaar Sikha Diya
Shukriya To Shukriya To Kijiye Sahaab

Mana Janab Ne Pukaara Nahin Kya Mera Saath Bhi Gawara Nahi?
Muft Main Banke Chal Diye Tan Ke Wallah Jawab Tumhara Nahin

Wallah Jawab Tumhara Nahin Hai
Wallah Jawab Tumhara Nahin Hai
Wallah Jawab Tumhara Nahin Hai

Main Shaayar Badnaam Ho Main Chalaa Main Chalaa

Main Shaayar Badnaam, Ho Main Chalaa Main Chalaa
Mehfil Se Naaqaam, Ho Main Chala Main Chala

Mere Ghar Se Tumko, Kuchh Saamaan Milega
Deewaane Shaayar Kaa, Ek Divaan Milega
Aur Ek Cheez Milegi, Tuta Khaali Jaam

Sholon Pe Chalna Tha, Kaanto Pe Sona Tha
Aur Abhi Ji Bharke, Kismat Pe Rona Tha
Jaane Aise Kitne, Baki Chhodke Kaam

Rasta Rok Rahi Hai, Thodi Jaan Hai Baaki
Jaane Tute Dil Mein, Kya Armaan Hai Baaki
Jaane Bhi De Ae Dil, Sabko Mera Salaam

Main Shaayar Badnaam, Ho Main Chalaa Main Chalaa
Mehfil Se Naaqaam, Ho Main Chala Main Chala

Kuchh To Log Kahenge Logo Kaa Kaam Hainn Kahana

Kuchh To Log Kahenge
Logo Kaa Kaam Hainn Kahana
Chhodo, Bekaar Kee Baato Mein
Kahee Beet Naa Jaaye Rainaa

Kuchh Reet Jagat Kee Ayesee Hain
Har Yek Subah Kee Shaam Huyee
Too Kaun Hain, Teraa Naam Hainn Kyaa
Seetaa Bhee Yahaa Badanaam Huyee
Fir Kyo Sansaar Kee Baaton Se
Bheeg Gaye Tere Nainaa

Hum Ko Jo Taane Dete Hain
Hum Khoye Hainn In Rang Raliyon Me
Hum Ne Un Ko Bhee Chhup Chhup Ke
Aate Dekhaa In Galiyon Me
Ye Sach Hainn Zoothhee Baat Nahee
Tum Bolo Ye Sach Hain Naa

Kuchh To Log Kahenge
Logo Kaa Kaam Hainn Kahanaa
Chhodo, Bekaar Kee Baato Mein
Kahee Beet Naa Jaaye Rainaa

Koi Hota Jisko Apna Hum Apana Keh Lete Yaaron

Koi Hota Jisko Apna
Hum Apana Keh Lete Yaaron
Paas Nahin To Door Hee Hota
Lekin Koi Mera Apna

Aakhon Mein Neend Na Hoti
Aansoo Hi Tairte Rehte

Khwabon Mein Jaagte Hum Raat Bhar
Koi To Gham Apnataa
Koi To Saathi Hota

Bhoola Hua Koi Waada
Beeti Huyi Kuchh Yaadein
Tanahai Dohraati Hain Raatbhar
Koi Dilasa Hota
Koi To Apna Hota

Koi Hota Jisko Apna
Hum Apana Keh Lete Yaaron
Paas Nahin To Door Hee Hota
Lekin Koi Mera Apna

Kiska Rasta Dekhe, Ae Dil Ae Saudaai

Kiska Rasta Dekhe, Ae Dil Ae Saudaai
Meelon Hai Khamoshi, Barson Hai Tanhaai
Bhuli Duniya Kabhi Ki Tujhe Bhi Mujhe Bhi
Phir Kyon Aankh Bhar Aai

Koi Bhi Saaya Nahin Raahon Mein
Koi Bhi Aayega Na Baahon Mein
Tere Liye Mere Liye Koi Nahin Rone Waala Ho
Jhuta Bhi Naata Nahin Chaahon Mein
Tu Hi Kyon Dubaa Rahey Aahon Mein
Koi Kisi Sang Marey Aisa Nahin Hone Waala
Koi Nahin Jo Yunhi Jahaan Mein Baante Peer Paraee

Tujhe Kya Beeti Hui Raaton Se
Mujhe Kya Khoyi Hui Baaton Se
Sej Nahin Chita Sahi Jo Bhi Miley Sona Hoga Ho
Gai Jo Dori Chhuti Haathon Se
Lena Kya tute Hue Saathon Se
Khushi Jahaan Maangi Tuney Wahin Mujhe Rona Hoga
Na Koi Tera Na Koi Mera Phir Kiski Yaad Aaee

Kehna Hai, Kehna Hai Aaj Tumse Yeh Pehli Baar

Kehna Hai, Kehna Hai Aaj Tumse Yeh Pehli Baar
Tum Hi To Laayi Ho Jeevan Mein Mere Pyaar, Pyaar, Pyaar

Tum Se Kehne Waali Aur Bhi Hai Pyaari Baatein
Saamne Sab Ke Bolo Kaise Keh Doon Saari Baatein

Aaj Magar Bas Itna Hi Karna Hai Ikraar
Tum Hi To Laayi Ho Jeevan Mein Mere Pyaar, Pyaar, Pyaar

Kab Se Dil Ne Mere Maan Liya Hai Tumko Apna
Aankhen Meri Dekh Rahi Hai Jaagte Sote Yeh Sapna

Mere Gale Mein Daal Rahi Ho Tum Baahon Ka Haar
Tum Hi To Laayi Ho Jeevan Mein Mere Pyaar, Pyaar, Pyaar

Kehna Hai, Kehna Hai Aaj Tumse Yeh Pehli Baar
Tum Hi To Laayi Ho Jeevan Mein Mere Pyaar, Pyaar, Pyaar

Kaise Kahen Hum Pyaar Ne Humko Kya Kya Khel Dikhaaye

Kaise Kahen Hum Pyaar Ne Humko
Kya Kya Khel Dikhaaye
Yoon Sharmaayi Kismat Humse
Khud Se Hum Sharmaaye

Baagon Ko To Patjhad Loote
Loota Hamein Bahaar Ne
Duniya Marti Maut Se Lekin
Mara Humko Pyaar Ne
Apna Woh Haal Hai
Beech Safar Mein Jaise Koi Lut Jaaye

Tum Kya Jaano Kya Chaha Tha
Kya Lekar Aaye Hum
Toote Sapne, Ghayal Nagame
Kuchh Shole, Kuchh Shabnam
Itna Kuchh Hai Paya Humne
Kahen To Kahaa Na Jaaye

Aisi Baji Shehnayi Ghar Mein
Ab Tak So Na Sake Hum
Apnon Ne Humko Itna Sataya
Roye To Ro Na Sake Hum
Ab To Karo Kuchh Aisa Yaaron
Hosh Na Humko Aaye

Kaise Kahen Hum Pyaar Ne Humko
Kya Kya Khel Dikhaaye
Yoon Sharmaayi Kismat Humse
Khud Se Hum Sharmaaye.

Jidhar Dekhun Teri Tasveer Nazar Aati Hai

Jidhar Dekhun Teri Tasveer
Nazar Aati Hai
Teri Surat Meri Taqdeer Nazar Aati Hai

Zinda Huin Main Tere Liye
Jeevan Tera Hai
Mera Hai Jo Sab Hai Teraa
Ab Kya Mera Hai
Meri Khushiyon Ki Tu Jaageer
Nazar Aati Hai..
Oo Jidar Dekhun
Teri Tasveer Nazar Aati Hai

Bina Dekhe Bina Jaane
Tan Mann Baande Jo
Bandan Jo Janam Janam
Mar Ke Juda Na Ho
Teri Chahat Wahi Zanjeer Nazar Aati

Jidar Dekhun
Teri Tasveer Nazar Aati Hai
Teri Surat Meri Taqdeer Nazar Aati Hai

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen Majboor Kare Jeene Ke Liye

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen
Majboor Kare Jeene Ke Liye, Jeene Ke Liye
Saagar Bhi Taraste Rahte Hain
Tere Roop Ka Ras Peene Ke Liye, Peene Ke Liye

Tasveer Banaye Kya Koi
Kya Koi Likhe Tujhpe Kavita
Rango Chhando Mein Samayegi
Kis Tarah Se Itnee Sundarta, Sundarta
Ek Dhadkan Hain Tu Dil Ke Liye
Ek Jaan Hain Tu Jeene Ke Liye, Jeene Ke Liye

Madhuban Ki Sugandh Hain Saanson Mein
Baahon Mein Kamal Ki Komalta
Kirnon Ka Tej Hai Chehre Pe
Hirnon Ki Hai Tujh Mein Chanchalta, Chanchalta
Aanchal Ka Tere Hain Taar Bahut
Koi chak Jigar Seene Ke Liye,Seene Ke Liye

Jeevan Se Bhari Teri Aankhen
Majboor Kare Jeene Ke Liye, Jeene Ke Liye

Jeevan Ke Din Chhote Sahi Hum Bhi Bade Dilwale

Jeevan Ke Din Chhote Sahi
Hum Bhi Bade Dilwale
Kal Ki Humein Fursat Kahan
Sochen Jo Hum Matwale
Kal Ki Humein Fursat Kahan
Sochen Jo Hum Matwale

Jeene Ka Rangeen Mausam
Yeh Khoobsurat Zamana
Apne Yehi Chaar Pal Hain
Aage Hai Kya Kisne Jaana
Jeena Jise Aata Hai Woh
In Mein Hi Mauj Mana Le
Kal Ki Humein Fursat Kahan
Sochen Jo Hum Matwale

Yeh Zindagi Dard Bhi Hai
Yeh Zindagi Hai Dava Bhi
Dil Todna Hi Na Jaane
Jaane Yeh Dil Jodna Bhi
Is Zindagi Ka Shukriya
Sadke Main Uparwale
Kal Ki Humein Fursat Kahan
Sochen Jo Hum Matwale

Jeevan Ke Din Chhote Sahi
Hum Bhi Bade Dilwale
Kal Ki Humein Fursat Kahan
Sochen Jo Hum Matwale

Jahan Teri Ye Nazar Hai Meri Jaa Mujhe Khabar Hai

Jahan Teri Ye Nazar Hai
Meri Jaa Mujhe Khabar Hai
Bach Na Saka Koi,aaye Kitne
Lambe Hain Mere Haath Itne
Dekh Idhar Yaar Dhyaan Kidhar Hai
Are Dekh Idhar Yaar Dhyaan Kidhar Hai

Kyon Nahi Jaani Tu Ye Samajhta
Kaam Nahi Ye He Tere Baska
Are Kyon Nahi Jaani Tu Yeh Samajhta
Kaam Nahi Ye He Tere Baska
Hosh Mein Aaja Dhyaan Kidhar Hai
Hosh Mein Aaja Dhyaan Kidhar Hai

Meri Taraf Jo Utha Hai Tan Ke
Kat Ke Wahi Haath Gira Badan Se
Are Meri Taraf Jo Utha Hai Tan Ke
Kat Ke Wahi Haath Gira Badan Se
Saamne Aaye Kiska Jigar Hai
Saamne Aaye Kiska Jigar Hai

Chaal Ye Banda Aisi Hi Chal Jaaye
Band Ho Mutthi Arey Cheez Nikal Jaye
Gili Gili Gili Chu Chu Chu
Chaal Yeh Banda Aisi Hi Chal Jaaye
Band Ho Mutthi Arey Cheez Nikal Jaye
Yeh Bhi Karishma Dekh Idhar Hai

Jahan Teri Yeh Nazar Hai
Meri Jaa Mujhe Khabar Hai

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar

Jahan Chaar Yaar Mil Jaayen Wahin Raat Ho Gulzar
Mehfil Rangeen Jame Dhoom Mache Daur Chale
Mast Mast Nazar Dekhe Naye Chamatkar
Jahan Chaar Yaar...

One O Clock In My House
There Was A Cat There Was A Mouse
Khel Rahe The Danda Gilli
Chooha Aage Peechhe Billi
Band Zaroka band khidaki
bigadi hui thi halat uski
Choohe Ko Pad Gaye Jaan Ke Laale
Bola Mujhko Koi Bachale
Mere Paas Tha Bhara Gilass
Pee Gaya Chooha Saari Whisky
Kadak Ke Bola Kahan Hai Billi
Dum Dabake Billi Bhaagi
Choohe Ki Phuti Kismat Jaagi
Khel Risky Tha Whisky Ne Kiya Beda Paar

Ek Tha Husband Ik Thi Wife
Miserable Thi Unki Life
Drunkard Husband Fighter Wife
Roz Ke Jhagde Roz Ke Lafde
Lafde Jhagde, Jhagde Lafde
Biwi Ki Thi Ek Saheli
Usne Usko Kuchh Samjhaya
Tab Biwi Ki Samajh Mein Aaya
Raat Ko Shohar Peekar Aaya
Darwaze Pe Phir Chillaaya
Us Din Biwi Ban Gayi Bholi
Kundi Kholi Haske Boli
Janeman Zara Andar To Aao
Pehle To Kuch Khao aao
Phir Bistar Pe Hongi Baatein
Bade Pyaar Se Katengi Raatein
Husband Chauka , Yeh Bhule Se Maein, Kiske Ghar Aa Gaya Yaar
Meri Biwi Mujhe De Nahin Sakti, Kabhi Itna Pyaar
Husband Bistar Chhodh Ke Bhaaga
Kundi Taala Todh Ke Bhaaga
Bola Devi Mujhe Maaf Kijiye
Mere Saath Zara Insaaf Kijiya
Mujhko Apne Ghar Jaana Hai
Warna Biwi Phir Maregi
Tab Biwiki Samajh Mein Aaya
Peena Chhoot Gaya Biwine Itna Diya Pyaar
Phir Dono Aise Mile Pyaar Mein Hi Doob Gaye
Pyar Agar Mile To Har Nasha Hai Bekaar

Hume Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante

Hume Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina

Suna Gham Judaai Ka Uthaate Hai Log
Jaane Zindagi Kaise Bitaate Hai Log

Din Bhi Yahaan To Lage Baras Ke Samaan
Hume Intezaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina

Tumhe Koi Aur Dekhe To Jalta Hai dil
Badi Mushkilon Se Phir Sambhalta Hai dil

Kya Kya Jatan Karte Hain Tumhe Kya Pataa
Yeh Dil Beqaraar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhare Bina

Hume Tumse Pyaar Kitna Yeh Hum Nahi Jaante
Magar Jee Nahi Sakte Tumhaare Bina